TASKHEER E HAMZAD QURANI IN 21 DAYS
Ye amal andheray me kia jata he, rat ke waqt kisi tanha
kamra me karna hoga, qibla rukh beth kar. roshni bilkul na ho, ankhain khuli
rakhni hon gi or khuli ankhon se andhery me hamzad ka tasawar rakhain ke samnay
mojood he. bawuzoo ho kar shuroo karain. amal keliy koi pak saf libas muntakhib
kia jay or sirf amal ke waqt pehna jay. libas qimti or fakhra na ho. doran e
amal khusboo ka istimal rahay kamra khushboo se muatar rahay or parhty waqt
hamzad ka koi bhi bakhoor sulgain. parhez sirf or sirf sharai mamnooat or
makroohat se he, jo marzi khain piyen, bas yad rahay ke shariyat ka haram haram
he or shariyat ka halal halal he. bas badboo dar ashiya or nasha awar ashiya se
parhez karain koi parhez e jilali ya jamali karnay ki zuroorat nahin. rozana
2100 bar wird karain magar awaz itni oonchi ho ke khood ko sunai day. ankhen
andhairy me markooz rakhen ke hamzad smnay mojood he or ap usay keh rahay hain
amal ye he.
یا فلاں اُحْضُرُ
اُحضُرُ بِحِقِ رُوْحُ الْاَ مِیْنْ
falaan ki jaga apna nam lagaya jay, hamzad 21 yom me
hazir hoga agar Allah na karay hamzad hazir na ho to doobara or seh baara bhi
karain hargiz hargiz nakam nahin hon gay, istqlal shart he, mashoor badshah
temoor se kisi ne poocha ke tumhari kamyabi ka raz kia he to us ne kaha ke me ne
ek ghaar me ye chiyoonti se sikha tha woh diwar pe charhti or gir jati bar bar
nakam hoti rahi magar us ne himat na hari or akhir kaar kamyab ho gai, taskhir e
hamzad ek bahot bari kamyabi he, Allah ki bahot barri nemat he jim e latif, or
isay panay keliy jitni bhi mehnat ki jay bahot kam he, aj insan ye chahta he ke
hamzad jesi quwat bhi bas chand rat ke amal se mil jay to esa hona bahot mushkil
he qk me ne tafsilan byan kia ke kis tarah ke amlyat jald kamyab kar sakty hain
or un me jo khatrat chupay hain woh bhi byan kar diy, meri zati ray me taskhir e
hamzad qurani amal se hi ki jay qk ek to us me hamzad hi hazir hota he dusra us
me kuch gunah nahin or teesra parhez na honay ke barabar or sab se ehm bat ke
nuqsan ka matliqan khadsha nahin. Ab aata hoon is amal ki sehat ki taraf ke ye
amal kis qadar mooasar he, to ap sab log jo amliat se shaghf rakhty hain ye
bakhoobi janty hain ke amilin or aam log bhi ba muakil amal ki talash me rehty
hain or ye bhi nahi janty ke unho ne istakhraj se jis muakil ka nam nikala he wo
koi muqarib muakil he ke nahin, magr ye amal ba muakil bhi he or muakil bhi rooh
ul amin, yeni Hazrat Jibrail A.S jin k 6000 sirf par hain or har par zamin se
bhi hujam me barh kar he woh farishta jo Allah ne sirf or sirf peghambaron ke
pas bheja Quarn e majid me is farishtaa ki kai maqat pe tehsin biyan hui. bas pa
band e shariyat hon or Allah ke kalam ka asar dekhain. Dua he ke Allah ap ko
kamyab farmay Amin.
Amal in English is as:
YAA (YOUR NAME) OHZOROO OHZOROO BEHAQQI ROOH UL AMEEN
Amal in English is as:
YAA (YOUR NAME) OHZOROO OHZOROO BEHAQQI ROOH UL AMEEN
2.QURANIC RITUAL FOR JISM E LATEEF
recite 3125 for 40 day
3.EXPERIENCED AMAL E HAMZAD
Take a mirror so large that you could see whole of your
face and chest, burn loban as incense, facing towards Qibla see in mirror on
your face and recite 3125 times for 41 days. during this wear ahraam.
concentration is very much important, as you have good concentration so soon you
will get results, anyhow in 21 days you will find effects. If hamzad comes
before 41 days and talks to you, do not pay attention on him, just carry on
reciting. all the instructions which published earlier should be followed. Never
tell any one in any circumstances, if you told, all your hard work will be
wasted,
QUM YA SAHIB UL WASWASE FI SUDOOR IN NAASE BEHAQQE BISMILLAHE REHMANE RAHIM
QUM YA SAHIB UL WASWASE FI SUDOOR IN NAASE BEHAQQE BISMILLAHE REHMANE RAHIM