hamzad ke amal ki shrait

MORE INSTRUCTIONS FOR HAMZAD RITUALS

jo amliat me ne post kiy unkay hawalay se kafi email mosool huin bahot se ahbab ke zehn main bahot se sawal thay meri koshish rahi ke sab ko mutmain kar sakoon, or isi liy me ne ek esi post karnay ka socha jis me un tamam sawalat ke jawabat diy jain takay tamam hazrat faida utha sakain or me koshish karoon ga ke mazid jo sawalat bhi ho sakty hain unka bhi ihata karoon.
KAMRA KI SHART:
hamzad ke amal keliy me ne sharait me kamray ke mutaliq likha ke jab tak amal ho ga chahy jitny din ka bhi amal ho us kamra me siway aamil ke koi dakhil na ho, aksar bhaiyon ko ye shart bahot mushkil nazar ati he, ye shart hamzad ke amal ke sath makhsoos he, yaqin maniy ke ye to shart ka ek hisa he warna haqiqat main or asoolan to jo kamra muntakhib kia jay woh abadi se door ho, wehm bhi na ho ke wahan doran e amal koi or shakhs pahnch sakta he or ghar me ho sakta he hamzad ka amal, aj ke dor me dihat me to esay makan mil jaty hain shaher me bahot mushkil he, magar yad rakhain ke agar ap ghar me kamra ka intkhab karty hain to bilkul theek he koi mazaiqa nahin, magar shart ye he k doran e amal kisi ki awaz kano tak na pahnchay, chahy hamzad ke ilawa bhi kisi taskheer ka amal ho shor o ghul ki ijazat nahin, abadi se door makaan dhoondhnay ki mutadid wajoohat hain qk agar ap ghar me amal start karty hain or amal ke doran koi function jesy shadi biyah start hua to amal zaya samjhain qk esay shor o ghul me amal karna mehz waqt zaya karny wali bat he, doosri waja ye he k ghar me amil hamzad se bahot dhokay khata he, kabhi achanak ronay ki awaz ati he jesay ghar ka koi banda fot ho gaya or esi halat me acha khasa tajarba kar amil bhi dhoka kha ke uth jata he, kabhi lagta he ghar me aag lag gai, kabhi mehsoos hoga ke ghar me hadsa ho gya or apko hospital jana he, to inhi wajoohat ki bina pe abadi se door amliat kiy jain to behtar he. in short hamzad ke amliat jo tasawr ke hain or un me kuch prha na jay un me ye shart nahi magar jo amliat hain mustanad un me ye shart poora karna ho g.
AMIL KI POSITION:
amal ke doran amil keasy nishist rakhay? beth ke amal kary ya khara ho k to yad rakhiy amal e aftabi hamesha or hamesha kharay ho ke kia jata he jabke digar tariqon me amil ki apni marzi he chay beth ke karay ya kharay ho kar, lekin agar amal me koi khas hidayat ho beth ke ya kharay ho ke karny ki to wahi karain, ye mumkin nahin hota ke har amal ke sath tamam hidayat bar bar likhi jain isliy tamam hidayt wahi rehti hain han albata libas, nishist, ya khas bakhoor likha ho to sirf usi hidayat pe amal karain jo amal ke sath likhi he amal ke sath koi khas shart nahin likhi to jo blog ke shuroo me hidayat me likha he usi pe amal karain.
CHARAAGH:
amal keliy khas charagh likha ho jesay pital, kaansi, matti to wahi istmal me lain warna jo apko muyassar ay wahi istimal karain, yad rakhain ke ap lamp bhi istimal kar sakty hain agar khas hidayat na ho magar bulb ya energy saver hargiz nahin, qk roshni ap ne aag se leni he jesay marzi lain, ap candle bhi use kar saktay hain koi mazaiqa nahin. magar jis amal me likha ho ke falan oil ya ghee istimal karain ap ne wahi karna he, kabhi bhi hamzad ke amal me karwa oil istmal karnay ki ghalti na karain.
HISAAR:
hamzad ka aml agar qurani he to ayat al kursi gyara bar parh ke or awal o akhir 11 bar darood e ibrahi hathon pe dam kar ke tamam badan pe hath phair lain or amal shuroo karin. ye apka badni hisaar he koi chiz nuqsan na day gi, qurani amal me kabhi bhi or kisi bhi soorat main circle laga ke hisaar nahin karna hamzad ke amal me warna ap kabhi bhi kamyab nahin ho sakty chahy poori ummar amal karty rahain qk hamzad ke amal me hisar nahin kia jata or uski waja ye he ke agar ap amal se pehlay hisaar kar letay hain to hamzad ap ke jism se bahar naikal ke ap kay samnay aa hi nahi pay ga or hisaar ki mojoodgi me wo kabhi bhi ap ke jism se bahar nahin ay ga, quran e majeed me hamzad ko qareen kaha gaya yeni sathi, usay Allah ne insan ka sathi bana ke dunia me uskay sath lagaya he ap cahahain bhi to usay bhaga nahin sakty ye qanoon e qudrat he jisay koi bhi amil nahin badal sakta, or agar ap ne sifli ya shetani amal karna he to circle wala hisar ap kar saktay hain qk un amliat me hmzad ki bajay koi or makhfi shetani quwat apkay samny zahoor pazir hoti he, isliy jin hazrat ne mehz kam lena he wo koi bhi amal karain unhain farq nahin parta or jin hazrat ne waqai apnay hamzad ko massakhar karna he wo hazrat qurani amal karain ya phir koi esa amal jis ki sehat mushtaba na ho or yaqin ho ke hamzad hi samny ay ga, jo jadoo ke makoos amliat k amliat hain un me hamesha hamzad hi samnay at he, esa biyan karnay ki zuroorat isliy mehsoos ki qk shayad baz hazrat sifli, shetani or jadoo ke amliat ko ek hi chiz na samjh lain, isliy iski detail pe main ne pehlay bhi ek post likhi he.
HAMZAD KA DARJA:
baz hazrat ye sawl karty hain ke is amal me hamzad kis darja ka hoga to me apko aj woh bat batanay laga hoon jo aj tak apko kisi ne nahin batai ho gi, ap books me parhtay hain ke hmzad quwat ke hisab se 4 darja ka hota he, uski haqiqat pe bhi roshni daal doon qk is se enda keliy amal dekhty hi apko pata chal jay ga ke is amal ka hamzad kitna qawi hoga, mohtram hazrat, me ne hamzad ki quaton pe is blog me ek post likhi he or hamzad me ye tamam quwatain hoti hain, phir akhr q amilin ne hamzad ko 4 darjon me taqsim kia he to uski haqiqat ye he ke jesa ap amal muntakhib kartay hain usi hisab se ya to apkay samnay hamzad ata he ya koi or chiz, agar ap ne qurani amal kia or kamyab huy to apkay samnay hamesha hamzad ay ga or us me ye tamam quwatain mojood hon gi or agar ap ke samnay hamzad ki bajay koi or chiz zahoor pazir hui to jesi wo chiz he usi hisab se uski salahiyatain hon gi... yeni ke hamzad ke darjay nahin hoty hamzad sab ka ek jesi salahiyat rakhta he magar jin logon ke samnay unki shakal me koi jin ya kisi mantar ka beer zahhor pazeer hota he wo kam quwat rakhta he, isliy amlin hamzad k 4 darja bataty hain, me ap se ek bat poochta hoon ke hamzad ko jism e latif kehty hain or jab ap ke samnay apka hamzad mojood ho apki ghulami me bhi ho or woh ap se khana mangay ya ap usay choo sakain kia woh apka jism e latif hoga? nahin wo apka hamzad nahin mehz apka ham shakal jin ho ga or woh bhi koi khabis jinn.
HAMZAD KI FITRAT:
hamzad ki do fitrat hoti hain jab qurani amal se hamzad masakhar kia jay to woh baht narm mizaj or narm guftar hota he, had darja muadib, or jab ayat e makoos se masakhar kia jay to us me ghusa ziada hota he, barbadi ke kam kar ke bahot khushi mehsoos karta he, baqi sifli or shetani amal me agar hamzad samnay aya he ya koi or chiz donon soorton me wo burai ki taraf ziada mail hota he or yahan par bhi ek nukta samjh lain ke qurani or makoos amal wala hamzad har kam karta he chahay acha chahy bura bas muaida ke khilaf na ho, magar sifli hamzad achai ke kam se dil churata he chahy hamzad ho chahy kuch or, or shetanui amal ka natija chahy hamzad ho chahy kuch or wo bhalai or neki ka hukm nahin manta or me ne to yahan tak dekha he ke baz oqat amil ko bhi neki se door rehnay pe majboor karta he, me ek amil ko janta hoon un ko shetani hamzad namaz ada nahi karnay deta tha quran nahin parhnay deta tha jab bhi woh amil esa karta 2,2 3,3 din tak sar dard usay ronay or chikhnay pe majboor kar deta.
ERAAB:
amliat me erab lagany ke 2 qanoon mojood hain jo jafr ke qaida se hain magar ooper jo nam ko palatnay wala amal byan hua us silsilay me batata chaloon ke nam ke erab har harf pe wahi rahain ge jo ke asal me mojood thay, yeni nam ke haroof ki tartib to ulat jay gi magar erab nahin badlay ga, agar pehlay jeem pe zabar thi to ab bhi zabar rahay gi, or jadoo ke amliat me jab kisi ayat ko makoos likhtay hain to us ka erab bhi wesay ka wesa hi rehnay dia jata he bas sirf tartib badal di jati he.
BAKHOOR:
Hamzad ke amal me agar koi khas bakhoor likha he to wahi use karain nahi to googal, loban, chandan, pipalgard or hing hamzad ke amal ka bakhoor he, or ye tamam chizain na kar sakain to koi ek bhi kafi he.
PARHAIZ E JILALI:
is silsilay me hi log sab se ziada pareshan hoty hain ke kia karain to apko yahan ek gur or nukta ki bat bata doon ke parhez e jilali or woh bhi tark e hewanat samet karna koi asan kam nahi or ye shart bhi har amal ke sath nahi yad rakhiy ke agar apka amal sirf qurani ayat ya sirf ismay ilahi ka he to ap ko parhez e jilali ki zuroorat nahin, or agar kisi amal e qurani ke sath ye shart likhi he to is shart ko bypass karna mumkin he or iska tariqa ye he ke ap rozadar rahain or sirf badboodar ashiya se parhaiz karain lekin agar jafri qawanin se ap ne azimat waza ki he to phir apko karna hoga, or sifli or shetani amliat ya makoos ayaat ke amal me parhez az had zurrori he or koi khas parhez sath na likha ho to kisi mahir e ilm ki ray ke bina amal na karain.
SHARAIT KI WAJOOHAT:
Aksar ahbab ne poocha ke agar hamzad ke amal ke sath falaan shart he to wo shart q he? uski mantaqi waj kia he? to yahan me kuch sharait or unki wajoohat bayan kar deta hoon. khanay pinay me jo chizain mana hain wo ya to nasha war ashiya hain ya badboodar ashiya, baqi ashiy q mana hain. to jin logon ne fiqa e islami parha he woh ye ilm rakhtay hain ke koi bhi chiz jo islam me mana he uski bhi koi na koi wajja or illat zuroor hoti he, isi tarah roohaniat ka silsila he yahan bhi wajoohat ki bina pe hi sharait or parhaiz hain. khanay me jo ashiya mana hain unki waja ye he ke wo chizain ishtiha angez hain amal e hamzad me to jazbat ko bharkany wali kitabain parhna bhi mana he to khay ki ijazat kesay ho sakti he. upar jo me ne likha ke agar ap roza dar rahen or ap qurani amal kar rahay hain to jilali parhez ki zuroorat nahin us se bhi shayad ap ke zehen me sawl utha ho ke akhir esa q he to uski waja ye he ke roza bhi apko tamam fawahish se rok deta he qk hadis me ata he jo jazbat pe qaboo na rakh pay wo nikah karay takay pak rahay or agar iski qudrat nahin rakhta to rozay rakhay. to agar roza nikah ke fazail ataa kar sakta he to kia parhez e jilali jesi mamooli chiz ko bypass nahin kar sakta? or yad rakhiy ke parhez e jilali apko Allah ka qurb ataa nahin karta wo to bas zabt e nafs ka zaria he jabke roza zabt e nafs ka taqaza bhi poora krta he or qurbe Allah bhi ataa karta he, ap dekh sakty hain k hindoo bhi mantar ki sidhi keliy bart rakhna bataty hain, or jahan tak taluk he kamra ki shart ka uski kuch bat to me upar kar chuka uski or bhi mutadid wajoohat hain ek waja ye ke agar amal qurani he or koi napak shakhs kamra me dakhil hua to apkay amal pe buray asrat muratib hon ge doosri waja ye he doosra jo bhi shkhs enter hoga uska hamzad bhi sath enter hoga or ap or apkay hamzad ka amal ka raz phir raz nahin rahay ga, doosri makhlloqat maslan jin hamzad ke amal me amil ko na to daraty hain na hi tang karty hain ye sab tamashay mehz hamzad ke hoty hain isliy mana kia jata he ke us kamra me or koi dakhil na ho or ek shart ye he ke kamza khali ho or us me safaidi ho uski waja ye he ke agar kamra me saman mojood hoga to tawaja murtakiz ho g us taraf or ye ap khud tajarba kar lain ge ke hamzad kamra ki chizon ko cherta he, hata ke baz okat kamra me pari hui chiz ko itni zor se utha ke phaikay ga ke ao dang reh jain ge, ye shart zuroori nahin ke kamzar khali ho saman mojood ho or ap tawaja say pe rakhna jantay hon ap amal kar sakty hain.
LIBAS:
hamzad ka aml agar say se karna ho to hamesha chust jangia pehn ke karain amal ke sath libas ka nahin likha hota jab bhi amal say se karna ho yahi karna hoga han agar sath koi khas libas likha ho maslan ehram to wahi pehnain.
SAYAA:
Amal agar dhoop me karna ho to waqt soorj ke taloo ya gharoob ka hargiz na ho qk us waqt saya baht lamba hoga jab sooraj nisf al nahar ke qarib ho tab karain, or agr charagh se amal karna he to charagh itna ooncha rakhain ke saya mutanasib banay bahot bara na ban jay, or agr saya diwar pe banaya jay to bhi thi darust he us soorat me ap chagh ziada ooncha na bhi rakhain to saya darust banay ga.
BATNI TASKHEER:
Batni taskheer infact hamzad se rabt peda karny or usay manoos karnay ka nam he, batni taskheer keliy sharait bahot narm or asan hain. batni taskhir ke bad zahiri taskhir ka aml kia ja sakta he, batni taskheer ka jo amal me ne blog me pesh kia us me kamra me or koi dakhil na ho ki shart shamil nahin.