SATAN`S RITUAL OF HAMZAD
Bahot se ahbab ne farmaish
ki he ke koi kam dorania ka amal post kia jay, amal hazir e khidmat he, me ne
khood nahin kia ek sahib ko karwaya magar wo poora na kar sakay khof kha gay,
behr hal amal nihayat asan he or fi zamana taskhire hamzad ka asan or kam din ka
amal milna mushkil he qk jo amliat puranay waqt me 11 din me poora hoty thay aj
40 me bhi nahin hoty qk har jaga soodi nizam ne halaal o haraam ka farq hi mita
ke rakh dia he, jo kasb e halaal chahta he wo bhi sood khany pe majboor he to na
zuban me tasir reh gai na duaon me asar or yad rakhiy qurani amal bhi dua hi ki
qism hua karti he yahi waja he ke aj ham amal karty hain or nakam hoty hain or
phir amliat or khuda k kalam ko be asar keh denay se daregh nahin karty. khair
ye blog hamzad keliy he to roohaniat ka mozoo to bahot wasi he ye behs to lambi
ho jay gi, ab amal pesh karta hoon.
TARKEEB:
nochanday hafta se shuroo karna hoga. is amal me koi
parhez nahin he na koi khatray wali bat, ye amal jafar ka he or shetani he,
tarkib iski ye he k apnay nam ko ulta lain yeni agar nam he عمر to isko ultaya
to رمع hua, nam agar وسیم he to usko ulat kar ke likha to میسو hua, ab iskay
agay kalma ایل lga ky muakil banain jesay رمعا یل ya میسوایل or rat ke waqt
tanha kamray m chiragh jala ke pas e pusht rakhen or jo muakil bana he usko
parhna he, apnay nam k adaad ko uskay haroof se zarab day ke jo taddaad ay usi
tadad ke muafiq parhain. nazar say ki gardan pe ho.ek hafta ko amal shuru hoga
doosray hafta ko khatm ho jay ga. sirf nam ko ultana he nam ke sath jo khan,
sheikh waghera k alfaz hon unko nahin ultana or na hi shamil karna he. aathwain
din ya to Hamzad samnay a jay ga ya phir koi or chiz, agar hamzad samnay ay to
apka nasib, us se muaida tay kar len or agar koi or chiz nazar ay ya agar kuch
bhi zahir na ho athwain din to buland awaz se kahain "tum samnay nahin atay na
ao, magar har waqt meray sath raho or jo main kahoon usay poora karo" bas iskay
baad har waqt koi chiz sath sath mehsoos ho gi, nazar nahin ay gi magar jo
kahain ge poora karay gi, magar yad rahay ke ye sirf baatni taskhir ho gi isliy
sirf mamooli noiyat ke wo kam ap le sakain ge jo ke kisi aam insan ke kar saknay
ki qudrat me hotay hain. addaad abjid e qmri se nikalnay hain or is amal me sirf
ek hi parhez he agar usay ham parhez keh saken or woh ye k pooray 8 din tak ap
ne moon se لاحول ولا nahin nikalna agar qasdan ya sehvan esa hua to amal bekar
samjhain or na hi doran e amal ap تعوز parh sakty hain yeni ke ap ne shetan se
panaah nahin mangni. is amal ko karnay se kufr or shirk ka koi khadsha nahin
magr gunah gar hoga. amal ke doran pehlay 7 din jo bhi nazar ay na to kalam
karna he or na hi amal tarak karna he.
Amal hafta ke din se shuroo karna he, matlab hafta ka din guzar ke jo rat ay us rat se, yeni din to nochanda hafta hoga magar rat no chandi itwar ki ho gi.or ye amal chhonke jafr ka he lihaza mizak ke mutabiq karain yeni sirf woh log karain jin ka mizaj atshi he.
Amal hafta ke din se shuroo karna he, matlab hafta ka din guzar ke jo rat ay us rat se, yeni din to nochanda hafta hoga magar rat no chandi itwar ki ho gi.or ye amal chhonke jafr ka he lihaza mizak ke mutabiq karain yeni sirf woh log karain jin ka mizaj atshi he.